Salam-E-IShq Meri Jaan (Muqaddar Ka Sikandar) (1978)
song-Salaam e ishq meri jaan zaraa qubool kar lo (Muqaddar Ka Sikandar) (1978) Singers-
Lata,Kishore Kumar, Lyrics- Prakash Mehra,MD-Kalyanji Anandji
Lyrics
ishq waalon se na poochho
ki unki raat kaa aalam
tanhaa kaise guzartaa hai
judaa ho hamsafar jiskaa,
wo usko yaad kartaa hai
na ho jiskaa koi wo
milne ki fariyaad kartaa hai
waah waah waah waah
ki unki raat kaa aalam
tanhaa kaise guzartaa hai
judaa ho hamsafar jiskaa,
wo usko yaad kartaa hai
na ho jiskaa koi wo
milne ki fariyaad kartaa hai
waah waah waah waah
salaam-e-ishq meri jaan zaraa qubool kar lo
salaam-e-ishq meri jaan zaraa qubool kar lo
tum hamse pyaar karne ki zaraa si bhool kar lo
meraa dil bechain hai
meraa dil bechain hai hamsafar ke liye
meraa dil bechain hai hamsafar ke liye
salaam e ishq meri jaan zaraa qubool kar lo

main sunaaun tumhen baat ik raat ki
main sunaaun tumhen baat ik raat ki
chaand bhi apni poori jawaani pe thaa
dil mein toofaan thaa,
ek armaan thaa
dil kaa toofaan apni rawaani pe thaa
ek baadal udhar se chalaa jhoom ke
ek baadal udhar se chalaa jhoom ke
dekhte dekhte chaand par chhaa gayaa
chaand bhi kho gayaa uski aagosh mein
uff ye kyaa ho gayaa josh hi josh mein
meraa dil dhadkaa,
meraa dil tadpaa,
meraa dil tadpaa kisi ki nazar ke liye
meraa dil tadpaa kisi ki nazar ke liye
salaame-ishq meri jaan zaraa qubool kar lo

aaa aaa aaaa aaaaa aaaa
iske aage ki ab daastaan mujhse sun
sunke teri nazar dabdabaa jaayegi
baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi
meraa daawaa hai honthon pe aa jaayegi
tu maseehaa muhabbat ke maaron kaa hai
maseehaa
maseehaa muhabbat ke maaron kaa hai
tu maseehaa muhabbat ke maaron kaa hai
ham teraa naam sunke chale aaye hain
ab daawaa de hamen yaa tu de de zahar
teri mahfil mein ye diljale aaye hain
ek ehsaan kar,
ehsaan kar,
ek ehsaan kar apne mehmaan par
apne mehmaan par ek ehsaan kar
de duaayen,
de duaayen tujhe umr bhar ke liye
de duaayen tujhe umr bhar ke liye
salaame-ishq meri jaan zaraa qubooul kar lo
tum hamse pyaar karne ki zaraa si bhool kar lo
meraa dil bechain hai hamsafar ke liye
meraa dil bechain hai hamsafar ke liye
salaam e ishq meri jaan zaraa qubool kar lo
iske aage ki ab daastaan mujhse sun
sunke teri nazar dabdabaa jaayegi
baat dil ki jo ab tak tere dil mein thi
meraa daawaa hai honthon pe aa jaayegi
tu maseehaa muhabbat ke maaron kaa hai
maseehaa
maseehaa muhabbat ke maaron kaa hai
tu maseehaa muhabbat ke maaron kaa hai
ham teraa naam sunke chale aaye hain
ab daawaa de hamen yaa tu de de zahar
teri mahfil mein ye diljale aaye hain
ek ehsaan kar,
ehsaan kar,
ek ehsaan kar apne mehmaan par
apne mehmaan par ek ehsaan kar
de duaayen,
de duaayen tujhe umr bhar ke liye
de duaayen tujhe umr bhar ke liye
salaame-ishq meri jaan zaraa qubooul kar lo
tum hamse pyaar karne ki zaraa si bhool kar lo
meraa dil bechain hai hamsafar ke liye
meraa dil bechain hai hamsafar ke liye
salaam e ishq meri jaan zaraa qubool kar lo
No comments:
Post a Comment